kabhi yun bhi kabhi
main kya likhta hoon isse shayad hi kisi ko fark padta ho, sirf tarref bhar kar dena ya fir nighahein feir lene bhar se is baat ki itishree ho jaati hai. kuch baat jehan mein tikti to nahi, bajahir taur par ise jehni gawariyat ya aalsipan na kahe to aur kya kahe? mumkin taur par aaj jab hum jehni aur ehsasiyat se pare ek aisi duniya mein reh rahe hai Jahan aksar ye baatein deewanapan lagti hai, us par turra yeh ki mukhatib shakhs aapki baaton se ittefaq rakhe ye hargij bhi jarrori nahi. Sahi Mayne mein aap jalaliyat ki ek aisi hakiki duniya mein ji rahe hai, Jahan kuch bhi kehne ya sunne ke talabgaar bahut ki gine chune hi honge.
usse bhi buri aur napasandgi ki baat ye hai ki aapko unlogon ko apni guftgoo rabta karni pade jo shayad hi aapke maslo se tarruf rahte ho? kai baar to Yun bhi hua hai, ki aap jehni taur par kisi khaas masle par apni rai shumaar kar rahe ho aur tarruf Karne Wala shakhs apni hi masroofiyat mein mashgool ho. yakeenan jis waqt aapko iska ilm hota hai, aap ko jehani taur par bahut khunnas aur jalalat mehsoos hoti hai. aap bhale hi is ruswaai ko apni peshaani par jahir na hone de magar is betakulliyat se bachne ka shayad hi koi aur tareeka ho jab aapse mukhatib shaksh ye dakwaas laga de ki wo jehni taur par kahin aur mashroof tha. ab isse jyada tarruf ki jarrorat aur kya hogi ki aap ek khalis adne se kalamkaar se mukhatib hai.

Comments