Pandit ji ka ladka (ek adhoori katha)
Ek pandit ji ka ladka aur ek choti jati ka ladka saath saath chatravaas mein rehte the. Pandit ji use choti jati ke logon ke saath rakhna nahi chahte the lekin ghar ki maali halat acchi nahi thi aur ab jajmaani bhi kam hi bachi thi. Le de ke jo do char paise mil jate the usi mein poore parivar ka kharch chala pana aasan nahi tha. Aur fir vidhalay se ghar door bhi tha, to pandit ji ne nishchay kiya ki ladke ko chatravaas mein hi daal diya jaye. Kafi keh sunke hi uska dakhila mil paya tha.
Waise to bhagwan ne bhi koi antar nahi rakha do insaano mein lekin aadmiyon ne apna swarth siddh karne ke liye jaat paat ka adanga daal diya. Kafi din beet chuke the pandit ji ko apne bete ki sudh aayi chota mota jo bhi saaman mila baandh liya aur nikal pade ladke se milne.
Comments