Apne hisse ka sach
Apne hisse ka sach Aksar akele mein baithe huye main gujri hui baton ki kalpana karta rehta hoon. Aaj bhi kuch soch raha tha, aaj meri soch sach ke bare mein. Apne hisse ka sach. Kuch dino pehle ki baat hai mera ek dost mujhse milne aaya, kuch pareshan sa tha. Usne apni samasya mujhse batayi, maine bhi use ek acche dost, shubchintak ki tarah hidayat di aur sahi galat ka antar samjhaya. Pehle to unki baatein mujhe satya prateet hui aur unse hamdardi bhi hui phir maine gahan anveshan kiya to laga ki nahi wo sirf apne hisse ka sach bata raha hai. Bachpan me mere ghar ke pass ek aurat rehti thi wo aksar maa se aakar apna dukh baantti thi. Maa use accha aur bura samjhati thi. Aur maa ko usse sahanbhuti bhi thi.Dheere dheere maa ko asliyat pata chalne lagi aur maa ko bura laga. Uska jhooth bolna jabki usne sirf apne hisse ka sach bola tha. Aakhir kya antar hai jhooth aur apne hisse ke sach mein…sirf itna hi jhooth mangharanth hota hai aur apne hisse ka sach adhoora sach. Hum meine se aisa k