Sahi ya Galat


Galat ya sahi……….poori jindgi nikal jati hai ye samajhne mein. Koi bhi rishta ho dosti ka ya dushmani ka aakhir kyon parkha jata hai sahi aur galat ki kasauti per. Aakhir kyon nahi soch paate hum is sahi aur galat ki paridhi ke bahar ho kar.
Hum galat ko sahi kate hai poori jindgi lekin phir bhi galtiyaan hoti to hai. Sahi ya galat ke mapdand per apni aur doosron ki kasauti kab tak parakhte rahenge. Jo humen sahi lagta hai wo doosron ke liye galat ho sakta hai aur jo hamare liye galat ho wo unke liye sahi. Sach poocha jaye to poori jindi chakki ke do paato sahi aur galat ke beech pisti hai. Jitne jyada log utne jyada tareeke sahi aur galat nirdharit karne ke.
Maine kuch chaha jo mujhe pata tha mujhe nahi milega uska karan bhi yahi tha sahi aur galat, main jo chahta tha wo galat nahi tha lekin phir bhi sahi to nahi hi thahraya gaya. Hamesha yahi hota raha hai har kisi ke apne tareeke sahi aur galat ka faisla karte rahe hai phir bhala main kise bach pata is chakra se. logon nein mujhe bhi parkha hai kasauti par har baar kadi pariksha hui hai meri ki sayad kahin na kahin main galat sabit ho jaoon. Hamesha unke mapdand badle hai aur tareeka bhi. Sayad wo nahi chahte ki main sahi hoon aur agar koi ,maan bhi le to kya fark padta hai.log parakhna to nahi chor denge. Kisi ne mujhse kaha ki jitni baar tumhen parkha jayega tum utne hi jyada nikhar ke nikloge sone ke jaise. Aur mera sirf ek hi jawab tha haan sayad usi tarah jaise seta ki pavitrta aur meera ki bhakti parkhi gayi.
Aur unke paas koi jawab nahi tha, haan sayad wo galat the ya phir humne hi unhe galat samjha. Waise bhi log marne ke baad hi kisi ko khuda banate hai. Aaj jo main kah raha hoon sayad wo aap ko galat lage lekin kya aap meri baton ko tabhi sahi maanenge jab main bahut door ja chukka hoonga.
Uff ! mere khuda ye kya ho gaya hai mujhe kyon badlna chahta hoon main duniya ko aur kis ko jagane chala hoon bhool gaya sayad ye sehar to unlogon ka hai jo patthar ko khuda mante hai aur insaan ko nafrat karne ki vastu. Jiske bare mein pata hai ki usko jarroarat nahi hai kisi cheej hai usi ko dete hai. Aaj ke daur mein insaan banna kathin hai bhagwan banna aasan hai. Kya ho gaya hai logo ko mangte usse hai jo khud kuch de nahi sakta. Sayad yahi sahi hai unke liye aur wo ek pal ki bhi deri nahi karenge muje aastik thahrane mein. Mujhe ab insaan pe nahi bhagwan pe daya aati hai. Kitna majboor hai kuda mera……
Kya har kisi ko har kuch mil jata hai nahi na? Kuch log to aise hote hai jo sirf ek baar hi mangte hai aur us par bhi unhe nahi milta. Mera dost ek dukan pe khada kuch kha raha tha aur ek chota sa baccha use hasrat bhari nigah se dekh raha tha, tabhi ek kutta wahan aaya aur mere dost ke munh ki taraf dehne laga. Aur usne wo biscuit us kutte ko de di baccha dekhta raha. Kya ye sahi tha sayad nahi lekin uske liye sahi tha. Aakhir uske apne maapdand hai na sahi aur galat ka mapdand ka nirdharan karne ke liye.
Main galat ko sahi nahi banane nikla hoon nahi mujhe kisi ke faisle ki jaroorat hai ye dekhne ke liye ki main sahi hoon ya galat. Kaun mujhe sahi thahrayega ya kaun galat ye prashan nahi hai balki prashna to yeh hai main kis se kahoon ki wo faisla kare sahi aur galat ka. Sahi hamensha sahi nahi hota aur galat hamensha galat nahi hota hai.
Aaj phir kisi ne mujhko parakhne ki kosish ki hai aur wo koi aur nahi hai balki wahi log hai jinko kal tak meri sacchai pe poora wishwaas tha. Sayad phir se koi mapdand banaya hai unhone. Waise bhi ab to aadat ho chuki hai galat thahraye jane ki. Ab to galat hi sahi lagta hai sach pooch to ek rishta sa ban gaya hai in galtiyon se, ab kaun kambhakht jaye har baat ko sahi ya galat samjhne.
Lekin ek baat jaanta hoon ab ki agar parkha gaya meri achahiyon ko to sayad mujhe bhi agni pariksha deni pade lekin meri bhi ye aakhri pareeksha hogi ab wapas nahi aaoonga dobara sahi aur galat mein fark doondhne ke liye. Waise bhi jahan vishwas nahi wahan rehne se koi matlab nahi.

Ab to sirf itna hi kahoonga:-

Itna toota hoon ki choone se bikhar jaoonga;
Tera wada nahi jo pal mein badal jaoonga.
Soj bhar do mere dil mein gam-e-ulfat ki,
Dil mera mom nahi ki pal mein pighal jaoonga.

Comments

ak said…
agni pariksha toh sitaji ko bhi deyni padi thi hum toh insan hain.zindigi mein to aisey mod aatey rahtey hain.insan ko apna nazariya hamesha sahi or dusaron ka galat lagta hai.galat ko dohraney sey woh sahi nahi ho sakta hai.kyonki sahi sahi hai.mery hisab sey humey woh karna cahiyeh jo humey achaa lagey ya jo humey sahi lagey.jisey gila na rahey dil may.hum galtiyon sey hi seekhatey hain.important hai +ive attitude.gir gir key hi hum sambhaltey hain .no one perfect in this world.make decision from ur self.thats improve ur confident.grow urself with +vibratio.& learn every second from ur life.
YOUTH ALWAYS LEARN
&
OLD ALWAYS TEACH
so make ur self always young

Popular posts from this blog

अपने पतन के स्वयं जिम्मेदार कायस्थ

Pandit ji ka ladka (ek adhoori katha)

THE TIME MECHINE