Posts

Showing posts from December, 2008

Pandit ji ka ladka (ek adhoori katha)

Image
Ek pandit ji ka ladka aur ek choti jati ka ladka saath saath chatravaas mein rehte the. Pandit ji use choti jati ke logon ke saath rakhna nahi chahte the lekin ghar ki maali halat acchi nahi thi aur ab jajmaani bhi kam hi bachi thi. Le de ke jo do char paise mil jate the usi mein poore parivar ka kharch chala pana aasan nahi tha. Aur fir vidhalay se ghar door bhi tha, to pandit ji ne nishchay kiya ki ladke ko chatravaas mein hi daal diya jaye. Kafi keh sunke hi uska dakhila mil paya tha. Waise to bhagwan ne bhi koi antar nahi rakha do insaano mein lekin aadmiyon ne apna swarth siddh karne ke liye jaat paat ka adanga daal diya. Kafi din beet chuke the pandit ji ko apne bete ki sudh aayi chota mota jo bhi saaman mila baandh liya aur nikal pade ladke se milne. Ladka kahin gaya hua tha uske saathi ne kahla bheja ki pandit ji aaye hai. Pitaji se milne ke liye wo sarpat bhaaga. Sayad kisi chori ke khul jaane ka darr tha ya ye shanka thi ki kahin sathi uske khilaf pandit ji ko kuch bhadka

Apne hisse ka sach

Image
Apne hisse ka sach Aksar akele mein baithe huye main gujri hui baton ki kalpana karta rehta hoon. Aaj bhi kuch soch raha tha, aaj meri soch sach ke bare mein. Apne hisse ka sach. Kuch dino pehle ki baat hai mera ek dost mujhse milne aaya, kuch pareshan sa tha. Usne apni samasya mujhse batayi, maine bhi use ek acche dost, shubchintak ki tarah hidayat di aur sahi galat ka antar samjhaya. Pehle to unki baatein mujhe satya prateet hui aur unse hamdardi bhi hui phir maine gahan anveshan kiya to laga ki nahi wo sirf apne hisse ka sach bata raha hai. Bachpan me mere ghar ke pass ek aurat rehti thi wo aksar maa se aakar apna dukh baantti thi. Maa use accha aur bura samjhati thi. Aur maa ko usse sahanbhuti bhi thi.Dheere dheere maa ko asliyat pata chalne lagi aur maa ko bura laga. Uska jhooth bolna jabki usne sirf apne hisse ka sach bola tha. Aakhir kya antar hai jhooth aur apne hisse ke sach mein…sirf itna hi jhooth mangharanth hota hai aur apne hisse ka sach adhoora sach. Hum meine se aisa k